“Depression Aur Stress Se Kaise Bachein? Real Kahaniyon Ke Saath Guide”

मानसिक स्वास्थ्य: आज की सबसे जरूरी लेकिन सबसे अनदेखी जरूरत Aaj ke fast-paced aur digitally connected world mein hum sab physical health ko to importance dete hain, lekin mental health – yaani mansik swasthya – ko aksar ignore kar dete hain. Depression, anxiety, stress jaise shabdon ko hum ya to lightly lete hain ya phir taboo maante hain. Lekin sach ye hai ki mental health problems har age group, har gender aur har background ke logon ko affect karti hain . WHO ke data ke mutabik , 2022 mein duniya bhar mein lagbhag 1 billion log kisi na kisi mental disorder se joojh rahe the, jisme se India ka contribution kaafi significant tha. Toh aakhir mental health ko kaise sambhalein aur in problems se kaise bacha jaaye? Mental Health Sahi Rakhne Ke Tarike 1. Apne Emotions Ko Samjho Aur Accept Karo Mental health ka pehla step hota hai self-awareness . Apne feelings ko ignore karna ya dabaana ultimately stress ko badha deta hai. Khushi, udaasi, gussa, guilt – sabhi human emotions h...